Tuesday 1 March 2016

Mumtaz Quadri Kaun

🌷 Gazi Mumtaz Hussain Qadri Rehmatullahe Aleh Kon Hai....?

Aaj 29 Feb 2016 Ko Subha 4 Baje Gazi Mumtaz Hussain Qadri Sahab Ko Pakistan Mein Phansi Di Gai Aur Aap Namoose Risalat Ki Hifazat Me Shaheed Ho Gaye

Ye Mard e Mujaheed Kon Hai......?
Is Sawal Ke Jawab Me Mukhtasar Ahwal Parhen

2011 Me Governor Panjab Salman Taseer Ne Ek Gustakhah Aasiya Bibi Ke Jis Ko Adalat Tauheen e Risalat Ke Jurm Me Saza e Maut De Chuki Thi Aur Governor Salman Taseer Ne Us Mujrimah Ko Sath Bitha Kar Press Conference Ki Jo Ke Pakistan Aaieen(Qaidah) Ke Sath Mazaq Tha Kyun Ke Salman Taseer Ne Ek Aisi Mujreemah Ki Himayat Ki Thi Jo Apna Jurm Qubool Kar Chuki Thi Aur Adalat Use Saza De Chuki Thi

Salman Taseer (Governor Panjab) Ne Media Ke Samne Us Mujrimah Ki Himayat Ki Aur Tahaffuz e Namoose Risalat Ke Qanoon 295-C Ko Kala Qanoon Kaha
Ab Sawal Ye Uthta Hai Ke 295-C Aakhir Hai Kya To Janab 295-C Taazirat e Pakistan Ka Wo Muqaddas Qanoon Hai Jis Ke Tahat Bargah e Risala Maab ﷺ Me Gustakhi Ke Murtakib Afrad Ko Saza Di Jati Hai

Salman Taseer Ne Aasiya Bibi Ka Sath Kyun Diya? Panjab Jailon Me Qaid Khwateen Me Use Aasiya Bibi Ka Khayal Hi Kyun Aaya Aur Salman Taseer Ne Aasiya Bibi Ko Chhudane Ke Liye Governor Panjab Ke Apne Ahade Ki Tamam Masroofiyat Ko Chhod Kar Aasiya Bibi Ko Chhudane Ki Kyun Thani Is Ka Jawab Ye Hai Ke Salman Taseer Aasiya Bibi Ko Chhudane Ki Koshish Nahi Kar Raha Tha Us Ka Asl Maqsad Namoose Risalat Ke Pak Qanoon 295-C Ko Badalna Tha......!!!!!

Us Waqt Ke Ulma e Kiram Ne Apna Farz Ada Karte Hue Salman Taseer Ko Rujuaa Kar Ne Ka Hukm Diya Aur Fatwa Jari Kiya To Salman Taseer Ne Kaha Ke "Me Aise Fatwon Ko Jute Ki Nok Par Rakhta Hun"

Aap Ko Maaloom Hona Chahiye Ke Wo Fatwe Quran O Hadees Ki Roshni Me Likhe Gaye The Quran O Hadees Par Mushtamal Fataawa Ko Jute Ki Nok Par Rakhne Wala Murtad Nahi To Fir Aur Kya Hota Hai?

Malik Mumtaz Hussain Qadri Sache Aashiq e Rasool Saum o Salat Ke Paband Sahi ul Aqeedah Aur Un Dino Salman Taseer Ki Security Par Maamur The Malik Mumtaz Hussain Qadri Sahab Salman Taseer Ki In Harkaton Ki Wajah Se Us Se Bezar The

Aur Kaha Jata Hai Ke Unhone Apne Taur Par Salman Taseer Se Darkhawast Bhi Ki Ke Aap Huzoor e Pak ﷺ Ki Gustakhah Ka Sath Na Den Aur Namoose Risalat Ke Qanoon Ka Aehteraam Karen Takeh Aaindah Koi Aisi Gustakhi Na Kare Magar Salman Taseer Apni Harkaton Se Baz Na Aaya Lihaza 4 January 2011 Ko Malik Mumtaz Qadri Ne Salman Taseer Ko 27 Goliyan Mar Kar Us Ka Kaam Tamam Kar Diya Aur Us Ko Wasile Jahannam Kiya

Mumtaz Hussain Qadri Sahab Ne Jab Salma Taseer Ko Qatl Kiya To Aap Wahan Se Bhage Nahi Balkeh Khud Ko Qanoon Ke Hawale Kiya, Iqbal e Jurm Kiya Aur Har Qism Ki Saza Qubool Karne Ki Yaqeen Dahani Karai Aur Is Waqiya Ke Baad Se Mumtaz Qadri Sahab Police Ki Hirasat Me The Aur Aksar Ulma e Kiram Un Se Jail Me Mulaqat Karne Ko Jate The Aur Masjidon Me Gazi Mumtaz Hussain Qadri Ki Rihai Ke Liye Duaa Ki Jati Thi Jab Keh Gazi Mumtaz Hussain Qadri Duaa Go The Ke Unhe Shahadat Naseeb Ho

Ulma E Kiram Aur Musalmaano Ne Gazi Mumtaz Hussain Qadri Sahab Ki Rihai Ke Liye Muzahirah Kiya Aur Relyan Nikali Magar Yahoodi Lobby Ke Zere Asar Hukmaran Apni Kursi Ko Bachane Ke Liye Gazi Mumtaz Hussain Qadri Sahab Ko Phansi Ki Saza Sunai

Aur Afsos Ke Aaj NAMOOSE RISALAT Par Qurban Hone Wale Gazi Mumtaz Hussain Qadri Sahab Ko Pakistani Be Gairat Government Ne Shaheed Kar Diya

اِنَّا لِلّٰہِ وَاِنَّآ اِلَیْہِ رَاجِعُوْن

Aey Gul e Khush Rang ! Gulzar e Shahadat Assalam
Teri Mazloomi Ki Sab Denge Shahadat Assalam

Jor Dekhe Tu Ne Kya Kya Laale Sang e Jor Se
Aey Ke Guzri Tere Upar Sakht Halat Assalam

Karwan Dar Karwan Baar e Alam Tujh Se Khincha
Hoslah Kis Ka Jo Khinche Ye Malalat Assalam

Haye Gaibat Me Tere Aalam Siyah Sab Ho Gaya
Aey Faroge Chehra e Subh Sa'adat Assalam

No comments:

Post a Comment